Merchant Navy Join Kaise kare | Merchant Navy Job 2021
Merchant Navy, Merchant Navy Kaise join Kare, Merchant Navy Books, Qualification, Salary, Works, Aaj ki hamari yah post Merchant Navy se sambandhit (मार्चेंट नेवी) puri jankari details me di gayi hai. Merchant Navy me kitni salary milti hai. Merchant Navy me job karne ke liye kaun – kaun se course karne hote hai. Yeh tamam jankari details me isi lekh ke madhyam se padhne ko prapt ho jayega to aap agar Merchant Navy me apna carrier banana chahte hai. To aap hamare dwara diye gaye is lekh ko pura avashya padhe.
Merchant Navy
Great career of salary of millions: Merchant Navy ka naam aate hi kuch logo ke jahan me me aata hai ki yah kshetra Bhartiya Nausena se juda hoga. Lekin aisa bilkul bhi nahi hai. Ise ek Industrial Area kaha jana jyada sahi hai. Kya aap jante hai, Yah kshetra bahut bada hai aur isme aate hi logo ka romanchkari safar shuru ho jata hai. Isme samundri jahaj ke jarye saman aur yatriyo ko ek sthan se dusre sthan tak pahuchaya jata hai. Is vyapak kshetra me sarkari aur niji dono hi tarah ki ki Company kam karti hai. Jin logo ko desh – videsh ghumne ka shauk ho aur samundri lahro ka romanchkari safar pasand ho vah is kshetra me Carrier bana sakte hai.
Khas bat yaj hai is kshetra me Shuruaat ke sath hi aage ki padhai karke khud ko bahut teji se aage badhaya ja sakta hai. koi bhi abhyarthi apni lagan aur mehnat se Merchant Navy me mahaj sat sal me kaiptan ke pad tak ja sakta hai. seeman aur kaidet se kors ki shuruaat hoti hai. Iske alava marine science nautical engineering, graduate medical engineering jaise coarse bhi kiye ja sakte hai.
Vaishvikaran ke is daur me kisi ek desh se kisi dusre desh ki dooriyan simatati ja rahi hai. Khuli Economy ke mahaul me National and International Company ka karobar ek se dusre desh me teji se badh raha hai. Indian Economy teji se ubar rahi hai. Aur Bharat International Company ke liye teji se ubharta upbhokta bajar sabit ho raha hai. Vishva ke vibhinn desho me utpadit maal bharat aa raha hai. Aur bharti utpad videsho me badi matra me bheje ja rahe hai. Iske sath hi kargo ka kshetra teji se bada aakar le raha hai.
Mana jata hai ki Merchant Navy me teji se badhti mang ke muqable samuchit shikshit va prashikshit logo ki ab bhi bhari kami hai. Isliye jaruri hai ki Candidate kisi pratikshthit sasthan se shiksha aur prashikshan prapt kare. Is kshetra me Carrier ki asim sambhavnaye hai. Is kshetra me rojgar pane ke liye acche sansthan bhi mahatvapurn bhumika nibhate hai. kyu ki uchit takniki prashikshan kisi pratishthit sansthan se hi prapt kiya ja sakta hai. yadi aap sadhe 17 saal se 25 saal ke bich ki age ke hai. Aur samandar ki lehron se takrane vale romanchkari kshetra me carrier banana chahte hai, to Merchant Navy ke field aapke liye sahi hai.
Merchant Navy Salary
Merchant Navy ke field me carrier ki shuruaat 50 hajar se 60 hajar rupaye ki monthly salary se hoti hai. See – man or cadets se shuruaat ke bad is feild me candidates do saal ki seva ke bad Officer ban sakte hai. Cadets sat saal ki seva ke bad captan ban jate hai. Officers ki salary 10 lakh rupaye monthly tak pahuch jati hai.
Merchant Navy Qualification
Merchant Navy me shamil hone ke liye Minimum educational qualification ke taur par 10th pass hona jaruri hai. halaki 12th pass logo ke liye bhi alag corse hai. Jo is feild me aage badhane ke naye – naye avsar dete hai. B tech aur diploma dhariyo ke liye bhi corse maujud hai. Merchant Navy me carrier ki shuruaat karne ke liye candidates ki age sadhe 17 saal se 25 saal ke bich honi chahiye. Candidates ka sharirik rup se svasth hona behad jaruri hai.
How Many Chance in Merchant Navy
Merchant Navy me carrier banane ke liye jyadatar mauke nautical yani dek, engineering aur catering ke field me milte hai. halaki 10th pass karne ke bad koi bhi candidates see – training, electrical officer, radio officer, nautical surveyor, pilot of ship, voice captan and captan ke post tak pahuch sakte hai.
Course Of Merchant Navy
Merchant Navy me carrier banane ke liye 6 month ke coase se shuruaat hoti hai. six moth ka pre see general purpose rating course hota hai. Ek saal ka DNS pre see Diploma in nautical Sciences ka course karaya jata hai. Physics, chemistry and math ki padhai karna jaruri hai. Inke alava marine engineering and naval architecture and ship building me b. tech, nautical Science, maritime science or ship building and repair me bsc, nautical science me diploma etc karaye jate hai.
कोई भी अभ्यार्थी अपनी लगन व मेहनत से मर्चेन्ट नेवी में महज सात साल में कैप्टन के पद तक जा सकता है। सीमैन और कैडेट से कोर्स की शुरूआत होती है। साथ ही मरीन साइंस, नॉटिकल इंजीनियरिंग जैसे कोर्स भी किए जा सकते हैं।
Best Books for Merchant navy
Yaha par kuch Merchant Navy Important Book ke bare me bataya gaya hai. Jisse ki aap log apni competition ki taiyari jari rakh sakte hai. In sabhi books ke bare me niche diye gaye table me puri jankari details me di gayi hai, to aap log ise bhi jarur dekhe. Aur in books se apni taiyari kar sake, in sabhi books ki price bhi niche box me diya gaya hai, to aap sabhi books ko achhe se dekh le aur inme se apni taiyari ke liye book select kar le.
Book | Details |
---|---|
![]() |
|
![]() |
|
![]() |
|
![]() |
|
![]() |
|
![]() |
|
Read More
- Dictionary Books : English to Hindi
- Top 10 Book For Preparation BPSC Exam With BPSC Book PDF
- Best Courses after 10th & 12th Pass in India
- आईटीआई कैसे करें बेस्ट ITI Course List & Best Collages in Lucknow
- A-Level Course क्या है? A Level Course की पूरी जानकारी हिन्दी में|
- O Level Course : Certificate, Subjects, Exam (O level कोर्स) Full Details in Hindi
- Video Editing Course in Hindi (विडियो एडिटिंग कोर्स) Training, Classes, Jobs, Salary
- Hotel Management Course Kaise Kare : Colleges, Subjects, Fees, Salary, Jobs, Recruitment
- Swiggy क्या है? Swiggy Delivery Boy कैसे बने? Swiggy Me Job Kaise Kare
तो कैसी लगी हमारे द्वारा दी गई Merchant Navy की यह जानकारी आशा करते हैं। कि आप लोगों को काफी पसंद आई होगी। और इससे सम्बन्धित कोई जानकारी चाहिए या अगर आपको किसी प्रकार की Study Material, Book PDF, Notes PDF चाहिए तो आप नीचे दिए गए Comment Box के माध्यम से Comment कर सकते हैं।